Wednesday 2 March 2016

iblis ka pota aur nabi ki guftgu

Behiqi mai ameerul momineen hazrat umar radialahu anhu se rivayat hai ki ek roz hum huzur sallal laaho aleh wasallam ke hamraah tihaama ki pahaadi par baithe the ki achanaq ek boodha hath mai asa liye huye huzur sallal laaho aleh wasallam ke samne hazir hua or salaam arz kiya. Huzur ne jawaab diya or farmaaya : iski awaaz jinno jaisi hai, fir aapne usse daryaft kiya tu kon hai? Usne arz kiya ki mai jinn hu. Mera naam hama hai,beta heem ka hu or heem beta lakees ka hai or lakees beta iblis ka hai.

Huzur ne farmaaya to goya tere or iblis ke bich sirf do pushto ka faasla hai.fir farmaaya : accha ye batao ki tumhaari umar kitni hai? Usne kaha ya rasoolALLAH! jitni umar duniya ki hai utni hi meri hai kuch thodi see kam hai! Huzur jin dino kaabeel ne haabeel ko qatal kiya tha us waqt mai kai baras ka baccha hi tha magar baat samajhta tha. Pahado mai daudta firta tha. Logo ka khaana wa galla chori kar liya karta tha.logo ke dilo mai waswase bhi daal leta tha ki wo apne khwesh wa aqarba se badsalooki karen!

Huzur ne farmaaya : tab to tum bahut bure ho! Usne arz kiya huzur mujhe malaamat na farmaaiye! Isliye ki mai huzur ki khidmat mai tauba karne haazir hua hu! Ya rasoolALLAH, maine hazrat nooh alehssalaam se mulaaqat ki hai.ek saal tak unke sath unki masjid mai raha hu! Isse pehle mai unki baargaah mai tauba kar chuka hu! Hazrat hood, hazrat yaakoob or hazrat yusuf alehssalaam ki suhabato mai bhi reh chuka hu! Unse tauraat seekhi hai. Unka salaam hazrat isaa alehssalaam ko pahuchaaya tha. A nabiyo ke sardar! Hazrat isaa alehssalaam ne farmaaya tha ki agar tu muhammad sallal laaho aleh wasallam se mulaakat kare to mera salaam un tak pahuchaana. So huzur, ab mai is amanat se subuqdosh hone ko haazir hua hu or yeh bhi aarzoo hai ki aap apni zaban a haq tarjmaan se mujhe kuch kalaamullah taaleem farmaaiye. Huzur alehssalaam ne use surah mursalaat, surah amm ya tasaaloon ikhlaas or muavvij tain or ijasshams taleem farmaayi, or yeh bhi farmaaya ki a Hama! Jis waqt tumhe koi ehtiyaaj ho fir mere paas aa jaana or humse mulaaqat na chhodna!!

Hazrat umar radiallahu anhu farmaate hain ki huzur alehssalaam ne to wisaal farmaaya lekin haama ki baabat fir kuch na farmaaya!! Khuda jaane haama ab bhi zinda hai ya mr gaya hai!!!

( khulaatut-tafaseer, safa 170).

agla waqya padne ke liye click karen:::::::http://sacchihiqayat.blogspot.com/2016/02/hazrat-imaam-zaafar-saadiq-aur-mallah_29.html

Tuesday 1 March 2016

hazrat abu baqr siddhiq a akbar ka khwaab

Hazrat siddhiq akbar radiallahu anhu islaam laane se pehle ek bahut bade taajir the.aap tijarat ke silsile mai mulq a shaam mai tashreef farma the ki ek raat khwaab mai dekha ki chaand or suraj aasmaan se utarkar unki god mai aa pade hain.hazrat siddiq akbar radiallahu anhu ne apne hath se chand or suraj ko pakadkar apne seene se lagaya or unhe apni chadar ke andar kar liya.subeh uthe to ek isayi raahib ke pas pahuche or usse is khwaab ki tabeer puchi. Raahib ne pucha ki aap kon hain? Aapne farmaaya : mau abu baqr hu. Maqqa ka rehne waala hu! Rahib ne pucha : kon se qabile se hain. Aapne farmaaya : banu haashim se or zariyae ma'ash kya hai? Farmaaya: tijarat! Raahib ne kaha to gaur se sun lo! Nabi aakhirujjama hazrat muhammad sallallaaho aleh wasallam tashreef le aye hain. Woh bhi isi qabila bani haashim se hain or wo aakhiri nabi hain. Agar wo na hote to ALLAH zameen o aasmaan ko paida na farmaata or kisi bhi nabi ko paida na farmaata. Wo awwaleen or aakhireen ke sardar hain.

 A ABU BAQR! Tum unke deen mai shaamil hoge or unke wazeer banoge or unke baas unke khaleefa banoge! Ye hai tumhaare khwaab ki tabeer!Sun lo! Maine is nabi paak ki taariq wa na'at tauret o injeel mai padi hai! Mai in par imaan laa chuka hu or musalmaan hu! Lekin isaiyo ke khauf se apne imaan ka izhaar nahi kiya! Hazrat siddhiq akbar radiallahu anhu ne jab apne khwaab ki tabeer suni to ishq a rasool ka jazba bedaar hua or aap foran maqqa muajjama waapas aa gaye.huzur ki talaash karke baargaah a risalat mai haazir huye or deedar a puranwaar se apni aankho ko thanda kiya!Huzur ne farmaaya A abu baqr tum aa gaye lo ab jaldi karo or deen a haq mai daakhil ho jaao! Siddhiq a akbar ne arz kiya : bahut accha huzur! Magar koi mojiza to dikhaiye!

Huzur ne farmaaya : wo khwaab jo tum shaam mai dekhkar aaye ho or uski taabeer jo us raahib se sunkar aaye ho wahi to mera mojiza hai!

Siddhiq akbar ne ye sunkar arz kiya : A ALLAH ke rasool aapne. Mai gawaahi deta hu ki aap waqayi ALLAH ke sacche rasool hain!

( jaamiul mujizaat, safa 4)

Sabaq::::::: hazrat abu baqr siddhiq huzur sallal laaho aleh wasallam ke wazeer or khalifa barhaq hain. Hmaare huzur sallal laaho aleh wasallam se koi baat nahi chupi rehti. Aap danaye guyub hain.yeh bhi maaloom hua ki tamaam makhlooq hmaare huzur ke sadqe mai hi paid huyi hai.agar huzur na hote to kuch na hota.


 Agla waaqya padne ke liye click kare::   http://sacchihiqayat.blogspot.com/2016/03/budhiya-or-aalim.html

jibraeel alehssalaam or noorani taara

Ek martaba huzur sallal laaho aleh wasallam ne hazrat jibraeel ameen alehssalaam se daryaft farmaaya :: ki a jibraeel! Tumhaari umar kitni hai? To jibraeel ne arz kiya :: huzur mujhe kuch khabar nahi! Haa itna jaanta hu ki chauthe hijaab mai ek noorani tara sattar hajaar baras ke baas chamakta tha or maine us taare ko 72 hajaar martaba chamakte dekha hai! Huzur alehssalaam ne ye sunkar farmaaya ::

Mere rab ki izzat ki kasam! Mai hi wahi noorani taara hu!"



(Ruhul bayaan jild 1 safa 974)


Sabaq::: hamaare huzur sallal laaho aleh wasallam qaaynaat ki har chij se pehle paida farmaaye gaye hain! Aapka noor a paak us waqt bhi tha jab na koi farishta tha na koi bashar na zameen thi na aasmaan or na koi shay! Fasallaho aleh wasallam!

budhiya or aalim

ek aalim ne ek budhiya ko charkha chalaate dekhkar farmaaya ki badi bee! saari umar charkha hi kaata ya kuch apne khuda ki bhi pehchan ki?

budhiya ne jawaab diya ki beta sab kuch isi charkhe mai dekh liya.aalim ne pucha ki badi bee ye to batao ki khuda maujud hai ya nahi?
 budhiya ne jawaab diya ki haa! har ghadi or raat din har waqt khuda maujud hai! aalim ne pucha magar iski daleel? budhiya boli daleel mera yeh charkha.aalim ne pucha ki kaise? budhiya boli wo aise ki jab tak mai is charkhe ko chalati rehti hu ye barabar chalta rehta hai or jab ise chhod deti hu tab yeh thehar jaata hai. to jab is chhote se charkhe ko har waqt chalaane ki zarurat hai to zameen o aasman chand suraj ke itne bade bade charkho kis tareh chalaane waale ki zarurat na hogi? pas isi tareh zameen o aasman ke charkhe ko koi chalane waala chahiye.jab tak wo chalaata rahega ye sab charkhe chalte rahenge or jab wo chhod dega to ye thehar jaayenge.magar humne kabhi zameen o aasmaan ko thehre huye nahi dekha to jaan liya ki unka chalaane waala har waqt maujud hai!!
 Aalim saahab ne sawaal kiya ki aasman o zameen ka charkha chalaane waala ek hai ya do? Budhiya ne jawaab diya ki ek hai. Daawe ki daleel bhii mera yahi charkha hai.kyuki jab is charkhe ko apni marzi se ek taraf chalaati hu to ye charkha meri marzi se ek hi taraf chalta hai or agar koi dusri chalane waali bhi hoti to yeh to meri madadgaar hokar meri marzi ke mutaabiq charkha chakaati. Tab to charkhe ki raftaar tez ho jaati or is charkhe ki raftaar mai farq aakar nateeja hasil na hota. Agar wo meri marzi ke khilaaf or mere chalaane ki mukhaalif zehat par chalaati to charkha chalne se thehar jaata ya toot jaata.magar aisa nahi hota. Is wajeh se ki dusri chalaane waali nahi hai. Isi tareh aasmaan o zameen ka chalaane waala agar koi dusra hota to zarur aasmani charkhe ki raftaar tez hokar din raat ke nizam mai farq aa jaata ya chalne se thehar jaata ya toot jaata! Jab aisa nahi hai to zarur aasmaan o zameen ke charkhe ko chalaane waala ek hi hai!!!

((Seeratussaliheen, safa number 3.))

 Sabaq::::::: duniya ki har cheej apne khaaliq ke wujud or uski yaktaayi par shaahid hai. Magar aqle saleem darqaar hai.

 Agla waaqya padne ke liye click karen:::: http://sacchihiqayat.blogspot.com/2016/02/imam-abu-hanifa-ka-dehariye-se-munazra.html

Monday 29 February 2016

hazrat imaam zaafar saadiq aur mallah

Khuda ki hasti ke ek munkir ki ( jo mallah tha) hazrat imaam zaafar sadiq radiallahu anhu se batchit huyi. Wo mallah kehta tha ki khuda koi nahi ( maazALLAH). hazrat imaam zaafar saadiq radiallahu anhu ne usse farmaya ki tum jahaj chalane waale ho to ye bataao kabhi samudri tufan se tumhaara saamna pada? Wo bola haa! Mujhe acchi tareh yaad hai ki ek martaba samudra ke sakht tufan mai mera jahaj fas gaya tha. Hazrat imaam ne farmaaya fir kya hua? Wo bola mera jahaj garq ho gaya or sab log jo us par sawar the doobkar halaaq ho gaye. Aapne pucha ki tum kaise bach gaye? Wo bola mere hath jahaj ka ek takhta aa gaya mai usi ke sahare tairta hua sahil ke kuch kareeb pahuch gaya.magar sahil abhi kuch dur hi tha ki wo takhta bhi hath se chooth gaya fir maine khud hi koshish shuru kar di. Hath pair maarkar kisi na kisi tareh kinaare aa laga.hazrat imaam zaafar saadiq radiallahu anhu farmaane lage ab suno:::::: Jab tum jahaj par sawar the to tumhe apne jahaj par aetmaad or bharosa tha ki yeh jahaj paar laga dega.fir wo doob gaya to tumhaara bharosa us takhte par raha jo ittefaaqan tumhaare jab haath lag gaya tha. .magar jab wo bhi tumhaare haath se chooth gaya to ab sochkar batao ki is besahara waqt or bechargi ke aalam mai bhi kya tumhe ye ummid thi ki ab bhi koi bachaana chahe to mai bach sakta hu? Wo bola- haa! Ye ummid to thi. Hazrat imaam ne farmaaya magar wo ummid thi kisse ki kon bacha sakta hai. Ab wo Mallah khaamosh ho gaya.aapne farmaaya : khoob yaad rakho! Is bechargi ke aalam mai tumhe jis zaat par ummid thi wahi khuda hai or usi ne tumhe bacha liya tha.Mallah ye sunkar hosh mau aa gaya or islaam le aaya!! Sabaq::: khuda hai, yakinan hai. Musibat ke waqt gair ikhtiyari taur par bhi khuda ki taraf khyal jaata hai. Goya khuda ki hasti ka ikhtiyaar fitri cheez hai!!!

imam abu hanifa ka dehariye se munazra

Hamare imaam hazrat imaam a aazam radiallahu anhu ka ek dehriya( jo khuda ka inkar karne wala tha) se munazra muqarrar hua or munazre ka topic ye tha ki aalam ka koi khaaliq hai ya nahi.is ahem masle par munaazra or wo bhi itne bade imaam se. Chunanche maidan a munazra mai dost dushman bhi jama ho gaye magar imaam a aazam muqarrar waqt se bahut der ke bad majlis mai tashreef laye.dehariye ne pucha aap itni der se kyu tashreef laaye.aap imaam a aazam ne farmaaya agar mai iska yeh jawaab du ki mai ek jungle ki taraf nikal gaya tha.waha ek ajeeb waqya nazar aaya jisko dekhkar mai hairat mai aakar wahi khada ho gaya.wo waqya ye tha ki dariya ke kinare wk darakht tha,dekhte hi dekhte wo darakht khud ba khud katkar zameen par gir pada fir khud ba khud uske takhte taiyar huye fir un takhto ki khud ba khud ek kashti taiyaar huyi or khud ba khud hi dariya mai chali gayi.khud ba khud hi wo ek dariya ke is taraf ke musafiro ko us taraf or us taraf ke musafiro ko is taraf laane or le jaane lagi.fir har ek sawaari se khud hi kiraya wasool karti thi.to batao tum meri is baat par yakin kar loge?


To dehariye ne ye sunkar ek kehakaha lagaya or kaha aap jaisa buzurg or imaam aisa jhuth bole to tajjub hai bhala yeh kaam kahi khud ba khud ho sakte hain.jab tak koi karne waala na ho,kisi tareh se nahi ho sakte!

Hazrat imaam a aazam ne farmaya ki yeh to kuch bhi kam nahi hai.tumhaare nazdeek to isse bhi zyada bade bade aalishaan kaam khud ba khud bagair kisi karne wale ke taiyaar hote hain.yeh zameen, aasman yeh chaand yeh suraj ueh sitare yeh baag yeh sadah kism ke rangeen phool meethe phal yeh pahad yeh chaupaye yeh insaan or yeh saari khudayi bagair kisi banane wale ke taiyar ho gayi hai.agar ek kashti ka bagair kisi banane waale ke khud ba khud ban jana jhuth hai to sare jahan ka bagair banane waale ke ban jana isse bhi zyada jhuth hai!

 Dehariya aapki taqreer sunkar hairat mai aa gaya or foran apne aqide se taaib hokar musalmaan ho gaya!!

SUBHAN ALLAH.

( TAFSEER A KABEER JILD 1,SAFA 221)